Aik Paaghal Nazm
Raakh barseygi aasmaanoN se
Fiza meiN bhar jaigi qabaroN ki haddiaN
Apna hi lahu bahyga dariya dariya
NiklyaNgay naNgay-jism murdoN ke juloos
Kuttay roiNgay muNh aflaaq pe dhar kar
Aur raqs karaNygee siyaaroN ki hookeiN
AaNkh barsa karEygi naalioN ke keeRay
Shab peetee phiraygi sooraj ki kai
Tags: Funny sms, shar o shayari Posted in
Leave a Reply